Wednesday, February 9, 2011

JNU 2

Entries under this title are comments and posts on some JNU forums on FB

atal:Dililp ne kisi ki thesis nahi likhi. dilip ke andar itna patience nahi tha. dilip ke bare me sachmuch ki itni baten hain yad karne ke liye ki kapol kalpit kimbadantion se bacha ja sakta hai. 1983 me ham log down campus me pee-khakar rat ko wall writing karne nikle. mai aur prabhu mahgapatra IIT hostel ke bus stop gaye aur dilip ke netritva me amit sengupta, rohit chanakya, sashibhushan adi ber sarai ki deewaron par writting karke hame IIT hostel par milne ane vale the. bahut dino tak ber sarai ki ek deewar par likha tha vah sher: paida hua agwani ko shaitan ne kaha , lo aajmai bhi sahib-e-aulad ho gaya". bahut der tak ye log nahi aaye to mai aur prab hu vapas inki khoj me aye. ber sarai ki taraf mudte hi dur se dekha ki beech sadak par kuchh halchal ho rahi hai. ham samjhe ber sarai ke jat peekar mar peet kar rahe honge. nazdeek pahuch kar dekha to yah to kameej ke bina dilip tha aur police vale use mar rahe the. samajh me nahi aya ki sare krantikari is yoddha ko akele chhod kar kahan bhag gaye. ham logon ne police ke sath argue karna chaha to bole " tumhare proctor ne kaha hai ki ye "mental" hai. maine kaha ki us ullu aur tum sabke dimag mila den tab bhi uske dimag jaisa nahi hoga. red salutes to prabhu vcah mere sath data raha. police valon ne dilip ko jeep me baitha liya. ham dono jeep ke samne khade ho gaye. ve bole inko bhi nutha lo, jeep me baithatae hue mere aur prabhu ki buland avazon me shor sun kar ve ham teeno ko chhod kar chale gaye. ham log jab proctor office ki taraf jane lage to baki krantikari bhi pata nahi kahan se nikal kar aa gaye. fir rameshwar ke sath jo samvad hua fir kabhi. dilip has been my dearest friend. we have fought with each other so many times on so many things.

No comments:

Post a Comment